Перейти к содержимому

Hyderabadi Kofte Ka Salan 😋❤️ | Kofte Banate Banate Ammi Ki Yaad Aa Gayi 🥹 | Dil Ki Baatein

ghar ka zaika☺️

0:00 / 0:00

Hyderabadi Kofte Ka Salan 😋❤️ | Kofte Banate Banate Ammi Ki Yaad Aa Gayi 🥹 | Dil Ki Baatein

39 просмотров · 6 часов назад
ghar ka zaika☺️
63 подписчика
39 просмотров · 6 часов назад
❤️ Assalamu Alaikum dosto! Welcome back to Ghar ka Zaika ❤️ Aaj main bana rahi hoon hamare ghar ka mazedaar Hyderabadi Kofte Ka Salan 😋🍲 Kofte banate-banate aaj dil ki kuch baatein aap sabke saath share karne ka dil kiya. ❤️ Aaj main aapko apni Ammi ke baare mein batana chahti hoon. 🥹❤️ Abbu ke inteqal ke baad Ammi ne akele hum sabko pala, hamari parwarish ki aur hamari shaadiyan ki. Unhone apni zindagi hamare liye laga di. Ammi ki qurbaniyon ko lafzon mein bayan karna bahut mushkil hai. Lekin aaj Ammi bhi akelepan mein himmat haarne lagi hain. Unke dil ko sukoon mile, unki zindagi khushiyon se bhar jaaye, bas yahi dua hai meri. 🤲❤️ Ya Allah! Meri Ammi ko sehat, sukoon, khushiyan aur lambi umar ata farma. Unki har pareshani door farma aur unke dil ko sukoon ata farma. Ameen Summa Ameen. 🤲🥹❤️ Dosto, maa-baap Allah ki bahut badi nemat hain. Jab tak woh hamare paas hain, unki qadar karein, unke saath waqt guzarein aur unke liye dua karein. ❤️ Aapko meri cooking aur dil se ki hui baatein pasand aati hain toh video ko LIKE karein, apne pyaare comments karein aur Ghar ka Zaika ko SUBSCRIBE karna na bhoolein. 🥰 Aap sabki mohabbat aur duaaon ki mujhe bahut zaroorat hai. ❤️ Allah Hafiz! Khush rahein, apno ka khayal rakhein. 🤲❤️ #HyderabadiKofte #KofteKaSalan #HyderabadiRecipes #CookingVlog #AmmiKiYaadein #DilKiBaatein #FamilyVlog #GharKaZaika