Pahadi Chaisoon Recipe | Uttarakhand Famous Chainsoo | Kali Urad Dal Chaisu | Maspadi recipe #viral
The Curry Kadai
0:00 / 0:00
Pahadi Chaisoon Recipe | Uttarakhand Famous Chainsoo | Kali Urad Dal Chaisu | Maspadi recipe #viral
286 просмотров · 2 нед. назад
The Curry Kadai
136 подписчиков
286 просмотров · 2 нед. назад
Pahado ki shaan Chainsoo / Chaisoon! Kaali Urad dal se banta ye high protein dal chawal ke saath jannat hai!
Samagri (2 logon ke liye):
1 cup Sabut Kaali Urad Dal (Chilke wali)
2-3 tbsp Sarson ka tel
1 tsp Jakhiya (na ho to Rai/Jeera)
4-5 Lehsun kutta hua
Onion- 1 medium
tomato - 1 medium
1/2 tsp Haldi, 1 tsp Dhaniya powder, Namak, lal mirch masala
Paani - 3-4 cup garam
Asli Pahadi Tarika:
Step 1: Bhunna (Sabse Zaruri)
Kaali urad dal ko dhone ke baad shukha ke , bina tel ke, kadhai me 5-6 minute bhuno jab tak achi khushbu na aaye. Jalana nahi hai! Thanda karke mixer me dar-dara peeso, maida jaisa powder nahi banana.
*Step 2:
kadhai me sarson ka tel dhuaan aane tak garam karo. Jakhiya, lehsun , pyaz,mirch, daalo.
Fir tamatar , Namak,haldi, dhaniya powder, lal mirch powder daal ke bhuno !
*Step 3:
Phir pisi hui dal daal ke 2 min aur bhuno jaise halwa bhunte hain.
*Step 4:
Ab garam paani dheere-dheere daalo aur lagatar chalao, guthli na bane. Dhak ke 40-45 min dheemi aanch par pakne do. Beech-beech me chalate raho. Dal apna starch chodegi aur gaadhi ho jayegi.
Upar se ghee aur dhaniya daal ke Bhaat (Chawal) ke saath khao!
Pahado ki shaan Chainsoo / Chaisoon! Kaali Urad dal se banta ye high protein dal chawal ke saath jannat hai!
#Chaisoon #Chainsoo #UttarakhandFood #PahadiRecipe #Chaisu #GarhwaliFood #TheCurryKadai